Tuesday, February 14, 2017

YouTube Video Par Jada Views Pane Ke Liye Follow Kare Ye Tips


Hello Friend Aaj Mai Aapko Batane Waha Hu Ki Kaise Aap Apne YouTube Channel Ke Videos Par Jada Views Pa Sakte Hai Bus Aapko Mere Ye Tricks Follow Karne Hogi . or Ye Post Un New YouTubers Ke Liye Kafi Helpful Rahegi Jo Ki Abhi YouTube Channel Par New Hai . Aaj Kal Har Kisi Ko Pata Hai YouTube Par Video Upload Karke Paise Kamaye Ja Sakte Hai Or Isliye Aaj Har Koi YouTube Se Paise Kamame Ke Baare Mai Sochta Hai Or YouTube Par Video Upload Karta Hai Jiske Karan Aaj YouTube Par Bahut Jada Competition Ho Gaya Hai Aap Jis Topics Par Video Banate Ho To Ussay Pahle Us Topic Par Kafi Videos Upload Ho Chuki Hoti Hai Or Aise Mai In Sabhi Ko Beat Karna Impossible Hai Lakin Aaj Mai Aapko Kuch Aise Tips Batane Wala Hu Jinsay Aap Apne YouTube Videos Ko Popular Or Unpar Jada Views Increase Kar Sakte Ho.

YouTube videos par traffic Kaise Paye

Ye Post Padhe :-
Blog Ka Traffic Kaise Increase Kare


Blog Mai Copy Page Disable Kaise Enable Kare

YouTube Par Thumbnail Jarur Create Kare

Jitne Bhi New YouTubes User Hotey Hai WO Sabse Pahle Yahi Galti karte Hai Ki WO Video Publish Karne Ke Doran Aapne Video Mai Thumbnail Use Nahi Karte Hai Jo Ki Ek Big Mistake Hai , Thumbnail Use Karne Se Aapke Videos Par Kafi Accha Traffic Aata Hai

Agar Aapko Nahi Pata Hai Ki Thumbnail Kya Hota Hai To Mai Aapko Kuch Asan Se Bhasha Mai Samjata Hu , Thumbnail Ek Aisa Option Hai Jismai Hum Aapne YouTube Videos Par Ek Image Ke Roop Mai Set Kar Sakte Hai Jisay Hum Thumbnail Bolte Hai , Or Thumbnail Aapko Aisa Create Karna Chahiye Jissay Visitors Aapke Video Watch Karne Par Majboor Ho Jaye , Visitors Ko Lage Ki Haan Is Video Ke Ander Kuch Khas Hai , Or Aapko Thumbnail Bhi Aisa Create Karna Hoga Jo Ki Aapke Video Or Title Se Related Ho , Or Agar Aapko Nahi Pata Hai Ki YouTube Mai Custom thumbnail Kaise Use karte Hai To Aap Hume Comments Kare Or Phir Hum Aapke Liye Videos Or Post Dono Banaye Ge Or Aapse Share Kar Denge.

Ye Padhe
YouTube Ka Pura Ithaas 



Youtube Se HD Video Download Kaise Kare


Video Upload Karne Ke Baad Video Link Search Engine Mai Jarur Submit Kare.

Friends Ye Points Aap Jarur Dhayan Laga  Ke Read Kijiye Ga Kyuki Maine Ismai Old YouTubes User Ko Bhi Dekha Hai Jo Video Upload Karne Ke Baad us Video Ka Link Search Engine Mai Submit Nahi Karte Hai Jissay Video kafi Dino Baad search Engine Par Searching Mai Aati Hai  Or Search Engine Se Aapke Videos Par Kam Se Kam 40% Present Traffic Search Engine Se He Hota Hai . Search Engine Mai Aapna Video URL Submit Karne Ke Baad Agar Koi Visitors Google Par Aapke Video Ka Title search Karta Hai To Aapke Video Google Search Mai Bhi Show Hogi Jissay Aapke Viewing Jada Hogi or Viewing Jada Hogi To Subscribers Jada Honge , YouTube video Link Submit Karne Ke Liye Google Or Bing Ka Use Kar Sakte Ho , Agar Aapko Nahi Pata Hai Ki Kaise YouTube Videos Link search Engine Mai Submit Karte Hai To Aap Humey Comments Kare Or Phir Hum Aapke Liye Ek Post or Video Dono Create Karenge Or Aapko Notify Kar Denge .


Facebook Group Join Kare Video Share Karne Ke Liye.

Agar Aap Kam Time Mai Aapne Video Ko Popular Banana Chahte Ho To Facebook Aapke Liye Sahi Platform Hai Jismai Aap Apne  YouTube Video Ka Link Share Karke Kuch He Dino Mai Aap Apne Youtube Videos ko popular kar Jada view Pa Sakte Ho . Bus Aapko Facebook Group Join Karne Honge Jinmai Aapko Millions Member Ke Group Join Karne Ko Milte Hai Aap Apne Videos Ke Hissab Se Group Join Kare Jismai Aap Aapni Video Share Kar Sake , Or Aap In Group Mai 2 ya 3 Baar Se Jada Link Share Nahi Kar Sakte Ho Agar Aap Aisa Karte Ho Aapka Facebook Group Kuch Time Ke liye Block Ho Jaiga.


Google+ Par Kare YouTube Videos Ko Share.

Google + Google Ke He Service Hai Jismai Aap Aapna Group Bana  Sakte Ho Ya Phir Aap Google Plus Mai Group Join Kar Sakte Ho . Google plus Ke Group Joined Karne Ke Liye Aap Community Ka Use Kare Aapko Millions Member Ke Group Yaha Milte He Jinmai Aap Aapna Youtube Videos Share Kar Sakte Ho , Ye Bhi Facebook Jaisa He Hai Lakin Yaha Aapko Facebook Se Jada Members Wale Group Mil Jaye Ge , Sahi Group Ka Selection Karne Ke Baad Group Join Kijiye Or Usmai Aapne YouTube Videos Ka Link Share Kijiye .



Youtube Visitors Se WhatsApp Number Share Kare

Agar Aap Youtube Ke Description Aapna WhatsApp Number Visitor Se Share Karte Or Unko description mai Unko Bolo Ki Hamari New Video Pane Ke Liye Aap Hamara WhatsApp Number Joine  Kare Agar Aise Aapse Koi Visitors Aapse WhatsApp Par Joine Hota Hai To Aapko Iske Faide  Hotey Hai ,  No.1 Ye hai Ki Visitors Ke Dawara Aapko Aapne  Videos Ke Baare Mai Pata Chal Jaye Ga Or Kuch Visitors Aapse Kuch Aise Videos Ke Request Karenge Jo Aapne Abhi Take Banai Nahi Ho Or No.2 Point Ke Baat Ki Jaye To Ismai Aap New Video Ka Link Sidhe Aap Apne Visitors Se Share Kar Sakte Jissay Visitors Sidhe Aapke Video Ko Watch Kar Sake , Jissay Aapke Youtube Ki Viewing Jada Hone Ke Chance Jada Rahte Hai .

To Friends Aise Tricks Follow Karke Aap Aapne YouTube Channel par Jada Subscribers Pa Sakte Ho Or Aap Apne Har Videos Ko Popular Bana  Sakte Ho . Or Agar Aapko Mere Ye Post Pasand Aai Ho To Plz Is Post Like And Share Jarur Kare. Thank You By And Take Care


1 comment:

  1. बहुत ही सुन्दर प्रस्तुति .... Nice article with awesome explanation ..... Thanks for sharing this!! :) :)

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi