Friday, March 29, 2019

Mobile Phone Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye


"Mobile Phone Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye" Hacking Aaj-kal Logo Ka ek Fashion Ban Gaya Hai José dekho WO He Hacking Mai Laga Rahta hai Lakin Hum aapko Bats Se Ki Hacking Ek Crime Hai Aisa Karne Se Aapko Jail Bhi Ho Sacte Hai Ya Fine lag sacta hai ya phir Se dono Bhi. Hacking Internet Ko Khokla Banata Hai . Or Ye Kisi Ke Bhi Device Se data Chori Karne Mai Saksam Hai . Aap Socte Hai Aapne Aapne Phone Mai Password Lagaya Hua Hai Or Safe Hai Lakin Hacking Apki Laparwahi Se Hoti Hai Kuch Aise Laparwahi hum Internet Par Karte hai jiske karan Humara Data Chori Ho Jata hai Chaliye Jante Hai WO Konse Laparwahi Hai Jo Aksar user Karte Hai .


Ye Post Padhe:-
Apple IPhone IOS 9 Battery
Problems Solves


WhatsApp Common Problems
Solution in 1 Minutes

Why We Hack Personal Details in Internet

SITE URL Check Kare .

Agar Aap Kisi Site Par Visit hai to Sabse Pahle use site Ka URL Check karle Kyuki Kai Baar Kuch Aise Hacking Site Hoti Hai Jo same to same Dusri Site Jaisa Page Design karte hai jisse User ko Lage ki WO usi site par hai jaha use hona chahiye Or aise Mai Aap Use Site mai Login I'd or password daal dete hai jiske Chalte Aapka account hack ho jata Hai.
Issay bachne Ke Liye Site Ka URL check kare . Tabhi Aapna sign in Kare.


Personal Wi-Fi Hotspot

Saibar Criminals ko Hamesha Open Network ki Talash rahti hai  Agar Aap public Place mai Hai to sabse pahle Aap Apne Mobile Ka Hotspot check kar le ki Kya Ye Open Hai Ya Nahi Agar Aapka Wifi Open mai hai To Hackers Aapke Mobile Par Attack Asani Se Kar Sacte Hai Or Apka Personal Data chori Kar Lete Hai .or open network Se ye Aligal Material download kar use Distribute Kar Sacte hai or Eligal Activity Se search or tresh karke Police Aapke Ghar Tak Aa Sacti hai inse Bachne Ke Liye Aap Apne WiFi par kam Se kam 10 Digit Password Banaye Jissay hacker Aapke Account ko hack Na Kar Sake .

Ye Padhe:-
Online ATM Card Ki Pin Kaise
Change Kare


MX Player Ac3 Audio Device Not Support
Problems solved in hindi

Internet Banking Site Open to Https

Agar Aap Internet Banking Use karte hai to sabse pahle Aap Jaan le Jitni Bhi Net banking ki sites hai WO sari Https mai Work karte hai Https apka Site Ke URL Se pahle Aapko Dikhega or Https hai To Abhi Net Banking Mai access Kare . Net banking mai access Karne Se pahle Ye check karle ki Jis Browser mai Aap Net Banking use kar rage ho to ye dekh le ki us browser mai koi or site open na ho kyuki kai baar tab open rahti hai jismai Sites Working mai rahti hai . Or aise mai bhi account hack on Ka risk rahta hai . isliye signal tab mai he net banking Access kare.

Flesh Lite App is Hacking Apps

Agar Aap apne Phone Mai Flesh Lite Application Use kar rahe hai to sabse pahle in application ko Apne Phone Se remove kar de kyuki  Research Ka dava hai Google play store par top 10 Flesh Apps user Ke phone mai Sapai Ka Kaam karte hai. Flesh lite App Ka size 72Kb Se Kam Jada Nahi Hona Chahiye Lakin Ye Aap download Karte ho To Inks size 2mb Se lekar 5mb tak Ka hota hai . Flesh lite application download Karne Se pale Aapne iski Privacy Policy Nahi Padi To Ye Apke Liye kitni Khatarnak ban Sacte hai.
Is say bachne Ke Liye Aise koi bhi fresh lite application download mai kijiye jiska size 72 KB Se Jada ho.


Free Charging Station Pai Na Kare Charge.

Aise Place Par Aap Apne Phone Ke Liye Free Charging Slot Use Na Kare Kyuki Hackers Low Battery Wale Phone Ko Target Karta Hai . Ye Charger Aapke Phone Mai  Trojan Malware Inject Karne Ka Kaam karta Hai. Or Aise Mai Hackers Ko Aapke Phone Mai Full Access Hone Ka Point mil jata hai . Plugin Ke 1 Se 3 Minutes Ke Andar hackers Apke mobile ko hack kar lete hai . inse Safe rahne Ke Liye Public place Jaise Airport , Railway ,Metro , BUs Stand etc Station par charge na Kare Or Aise Mai Aap Apna  Power bank He Use kare.


To Dosto Aisa Karke Aap Apne Mobile Ko Hack Crime Se Safe Rakh Sacte Hai , Or Ye Post Aapko acchi Lagi Ho To Plz Is Post Ko Apne Dosto or Facebook par jarur Share Kare Or is Post Se Related Help Ke Liye Humse Aapna comment Share Kare . Thank You By And Take Care Sikhte Rahiye Mere Sath Internet Technology.
Meta Tag:-
Mobile ko Hacking Se Kaise Safe Rakhe, How to safe My Device with hacking crime , Mobile ko Hackers Se kaise bachaye, Hacking Se bachne ki Jankari, Hacking kyu hoti hai ,Hacking Kya Hoti Hai, Mobile kaise hote hai hack or inse kaise bache, hacking ek crime hai,Hackers ki Jankari, Hacking Se safe rahne ki tips, Mobile ko hack hone Se kaise bachaye,SonuRajput. 

2 comments:

  1. Flesh lite app kya hai ise kaise phone hack hota hai isase kaise bache sir hame thoda details me bataye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Flesh lite only 72 KB Se kam ki honi chahiye kyuki issay jayada size mai Kuch lite flesh App Hacking Ho Sacti hai

      Delete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi