Wednesday, June 1, 2016

Kya Apko Pata Hai RTGS/NEFT Bank Ka Form Kaise Bharte Hai


"RTGS/NEFT Bank Ka Form Kaise Bharte Hai" Maine Apko Apni Pichli Post Mai Bataya Tha Ki Net Banking Se Dusre Bank Account Mai Paise Kaise Transfer Karte Hai . Or Aaj Ki Bhi Post Kuch Is He Tarah Hai WO Online Payment Ki Post Thi or Jo Aaj Mai Apko Batane Wala Hu Ye Offline Payment Transfer Method se. Or Ye Method Neft or rtgs Ke liye Hai Jiska Form Fill karke Aap Bank Transfer karwa Sacte Hai same Day Mai


RTGS OR NEFT form Apko har bank me hoti hai. Bus Aapko Apke bank me jana hai or form bharna hai. mai Apko  yaha Apko Punjab National Bank se RTGS OR NEFT karna sikhyenge. Or ye koi Jaruri nahi Hai Sabhi Bank Ki Rtgs or Neft Form Alag Sabke Same Hote hai  Or  Sabhi banks me form same tarike se bhara jata hai.

Sabse Pahle Mai Apko Ye Bata Du Ki RTGS ya NEFT hoti kya hai. Or iska use kis kaam me kiya jata hai.


RTGS/ NEFT Two Part Information


RTGS Payment About Info Any Of Bank

Agar apko apne bank account se kisi dusre bank account me paise transfer karne ho to tab RTGS/NEFT ka use kiya jata hai. Agar apki payment 200000 rupees hai ya isse jayada hai to RTGS ka use hota Hai !


NEFT Payment About Info Any of Bank 

Agar payment 200000 rupees se kam hai to NEFT ka use kiya jata hai. Waise to aap other bank account me clearing ke through bhi transfer kar sakte ho lekin usme 3-4 buisness day ka time lagta hai. RTGS/NEFT me payment same day or Quick transfer ho jati hai


Kya kya chahiye RTGS/NEFT Ke liye
1.aapke account ka sign kiya hua cheque Hona Chahiye.
2.Apke bank ka RTGS/NEFT form Hona Chahiye
3.Aap jis bank me transfer karna hai us bank ka IFSC CODE Daliye.
4.Aap jis account me transfer karna Chahte Hai uska name & account number Chahiye.
5.Aap ko jis bank me transfer karna hai us bank ka branch name Hona Chahiye


Kya karna hai NEFT/RTGS  


sabse pahle apne bank me jakar aap RTGS ya NEFT ka form le ley. Ab ye decide kar le ki Aapko RTGS karni hai ya NEFT. Form me sabse upar RTGS/NEFT likha hota hai aap unme se jo aapko karni hai us par tik mark kar de. Ab form par jis day ko RTGS/NEFT karni hai date ke option me date likh de.
Ye form 2 part me hota hai. aapko kaise form bharna hai ye aapko photo me bhi dikhaya gya hai.


RTGS/NEFT Form Kaise Bhare
Image Source :-  Deepkumar.net


1. Benificery(लाभकर्ता)
2. Applicent (देनकर्ता)



1.benificery :-
Account number me jise apko payment transfer karni hai uska acciunt number bhare.
Holder name me jise apko payment transfer karne hai uska account jis name se hai wo type kare.
ifsc code me jis branch me apko pyment transfer karni hai uska ifsc code or branch name bhare.
Ruppees me jitni payment tansfer karni hai wo payment ka figure bhare.

 Applicent :-
 is part me bhi same option hote hai.
Account number me apko apka account number type kare.
Account holder name me aapka name jis account se hai wo name bhare.
Rupees me apni payment amount bhare.
Apna mobile number type kre.

Cheque :- ek chaque jo RTGS/NEFT  karne ke liye required hai. Us par 2 option hote hai
Ruppees or name.
Name par aapko yourself likhna hai.
rupees me apko payment amount figure bhare.
cheque par apne signature kar de

Ab ye cheque or form attech kar ke Aap Aapne bank officer ko de dey. Apki RTGS/NEFT ho jayegi. or Payment Same day Or Quick transfer ho jaiye GI.

Agar Apko Mere Dawara di Post Se Jankari acchi lagi ho to plz isko Facebook or Apne Dosto se jarur Share Kare Or agar is post mai koi Baat Samaj Nahi Aai ho to Aap Humse Comment mai puch Sacte Hai Hum Apko Bald Response denge Thank You.

Meta Tage :-
rtgs or neft kya hoti hai, bank me rtgs kaise kare, neft me kitna time lagta hai, neft ka form bharna sikhe hindi me, rtgs form bharne ka tarika hindi me, hindi me Jankari Eggs or next ke, All Information Provide Neft or rtgs , rtgs or neft ka MATLAB Kya Hota hai , how to use neft or rtgs , How to Fill up form RTGS/NEFT,SonuRajput.

7 comments:

  1. Sir NEFT ke bare me Hum logo ki sari confusion dur hui hai thanks

    ReplyDelete
  2. Ifsc kod kiska daalna hota hai

    ReplyDelete
  3. Apko Jis Bank Account Me paise Transfer Karne Hai Us Bank ka IFSC Code Dalna Hai

    ReplyDelete
  4. thank u so much sir...................

    ReplyDelete
  5. Same bank me transfer karne me ifsc code jaruri h. Ya nahi

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi