Friday, March 29, 2019

Ghar Baidhe Apna Passport Apply Kaise Kare Aasani se


"How To Apply Passport In Hindi" Agar humko india se bahar jana ho to sabse pahle hamko passport verify karwana padta hai . lakin aaj ke time mai bhi kuch aise people Yuvak hai jinka apna passport nahi hai. mere anusar india kam se kam 60% ke pas passport nahi hai . passport ka hona hmare liye bahut he jaruri hai kyuki ye ek passport he nahi balki ye india ki big Identity Hai jo ki apko india ka nagrik ghoshit karwati hai . Lakin kai aise Yuvak hai jinko passport banwana hota hai lakin unko ye pata nahi hota hai Passport online bhi Apply kiye Jate hai or phir unko ye bhi problam aati hai ki Passport apply kaise kiya jaye online lakin wo apne aap online nahi karte hai or dalal ( TOUT ) ke Chaker mai pad jate hai or wo dalal unko LUT leta hai or Passport Fee Only 1500 Rupee hai jo ki dalal Apse iske 5000 se 6000 hazar rupay le sacta hai. isliye Aap Dalal ke chaker mai na pade or Kudh ke Jariye Apna Passport Apply Kare or Passport Apply kaise kiya jata hai wo mai Apko is post mai detail by detail Btauga or mujhe umeed hai ki Aap meri is post ko And tak read kijiye ga Tabhi Aap apna passport Apply bkar sacte hai.

Indian Passport Apply online

Sabse Pahle Aap Passport ki Official website open kijiye Website open karne ke liye is link ka use kare
http://www.passportindia.gov.in/AppOnlineProject/welcomeLink 

Step - 1

Sabse Pahle Apko New User ? Registered Now Par Click Karna hai



Or Ab Apke Samne Ek New Page Open Hoga Ye Ek Form Hoga New User Ke Liye Ye Pura Form Apko bharna Hai , Form Bilkul Asan hai Aap Asani se Fill up Kar sacte Ho.

Form Fillup karne ke Baad Apke Email Par Ek Verification Link Aye Ga Ab apko Wo verification link open karna hai Or Apka Account Activate Ho jaye Ga .

Ab Aap Fhir Se Passport ki Website Open Kare Suru Se  .

Ab Aapke home page par Exiting User ? Login Ka Option Hoga Apko Wo Click karna hai .


Ab Apko Simply Login karna hai . Sabse Pahle pahle Apne Email Id Daliye Or Ab Continue Par Click Kijiye Ab AAp Apna Password Daliye Or Image Ke Text Ko Box Mai Same To smae Type Kijiye Or Isko Submit Kar dijiye . to Ab Apka Pahla Step Complate Ho gaya hai. Or Ab Ate hai 2nd Step par.


Step - 2

Passport Applicant Home

Id Login karne Ke Baad Ab Apko Sabse pahle Apply For Fresh Passport/Re-Issue Of Passport par click karna hoga apko.




Step -3

Apply For Fresh Passport/Re-Issue Of Passport

Ab ApSe Ye  pucha jaiga Ki Aap Passport Ko Offline Submit Karna Chahte Hai Ya Online To Apko Online Wale Link Par Click kijiye Apko Alternative2 ke nich wale link par click kijiye jaisa ki maine niche Image Mai kiya Hua hai.



 Step - 4

Passport Type

Ab apse Passport Type ke Bare mai pucha jaiga

Agar Aap New Passport Banawa rahe ho To Apko Fresh Par Click karna hai Agar aap kisi Passport ko Re-Issue Karwa Rahe ho To apko Passport Re-issue par click karna hoga.

Type Of Application mai apko passport kaise banawana hai Normal Ko Select Karoge To Apka Passport 30 Se 45 Din Ke Andar ban ke apke Pass Aa jaye ga or iski fee hogi 1500 ruypay  Or aap Tatkal  Par Click karenge To Apka Passport 10 se 15 Din Mai Ban ka apke pas aa jaye ga or iski fess hogi3500 rupay

Or Ab Apko Apne Passport  mai kitne page chahiye 36 ya 60 Jonka Aap option select karoge Fee Uske Anusar Apko Deni Hogi

Or Ab NEXT Par Click Kar De



Step - 5

Passport Form

Ab Apke Samne Passport Form open Hoga or Form Bharna bilkul simple hai Aap asani Se form ko Fill Up Kar Sacte ho Apko Ismai General Information Dalni hai Jo ki bilkul Asan Hai.

 
Step - 6

Family Details 

 Ye Form bhi bilkul Asan Hai Pahle Se bhi. Apko Ismai Apki Family Detail Dalni Hai . Or Isko Next Kar De



 Step - 7

Present Residential Address

 Is Form Mai Apko Apna Address State Or City Mobile NumBer Email jaise General jankari Dalni Hai Jo ki bilkul He Asan hai. Next Par Click Kare


Step - 8

Emergency Contact 

Ismai bhi Apka Apna Contact Number Or Email Id Dalna Hai . Or jo Contact Number aap Dal Rahe hai Wo apka Parmanent Contact  Hona Chahiye  . Or Ab Next Kar De



Step - 9

Reference 

Apko Is Form Apne name ke Sath Apka Full Address dalna Hai Or niche Contact number Dalna Hai
Or Phir Se Apko Address dalna hai Or Is Baar Address Pahle Se Alag Hona Chahiye Chahe To Aap Apne Office Ya Shop Ka Address de sacte hai. Or Ab App Phir Se Apko Contact number dalna hai. Or Next Kar De



Step - 10

Preview Passport

Ismai Kuch Apko Jayada Nahi karna Bus Ismai Dono Option Ko No he rahne De Or Next Kar de.



Step - 11

Other Details

Ab Apke Samne Other Detail ka Form Ayega Apko Ismai Apko Sabhi Par No Select Karna Hai Agar Apko Kahi Ye lage Ki yaha par Yes Karna hai to Aap YES kar Sacte hai Otherwise NO ko he select Kare or isko Next Kar de.



Step - 12

Passport Preview

ismai Aap check kar le ki Apne jo Jankari Is Form mai De hai Wo Sahi hai Ya nahi  or Check karne ke Baad Isko Next par Click kar de.



Step - 13

Self  Declaration  

Ab Apko ismai Self declaration karna hai or place mai apko apni city dalni hai I Agree Par Tik Park lagana hai ,
Agar aap apne Passport ka status Apne mobile par chahte hai to Aap SMS Alert Select kar sacte iske Liye Apko 40 Rupay Adhik Dene honge kyuki ye service chargeable hai . Agar Nahi Chahte to Isko rahne De.
Or And mai Aap Submit Form Par Click kar De  .



Step - 14

Pay And Schedule  

Ab apko pay And Schedule par Click Karna Hai .



Step - 15

Choose Payment Mode 

Ab Apko Choose payment Mode Mai Se kisi Ek option ko select karna hai  Agar Aap online payment karna chahte hai to Aap Online Payment Mode Select Kare. 

Agar Aap online Pay nahi karna Chahte Hai to Aap Iski Challan Ka Print Out Karwa Le Or SBI bank mai Ja Kar Iski payment karwa De. Or Isko Next kar de



Step - 16

Schedule Appointment 

Ab Apko Schedule Appointment Par Click karna hai Or Isko bhi Next Karna Hai  .




Step - 17

Schedule Appointment

Ab Apko Ismai Appointment Availabillity Dikhaye Ga or  Ab Aap Ismai   PSK/RPO Select Kar le Ismai Apko City Ke Option Milenge Jo Apke Near Padti ho Jaha par Aap Apne Sare Document Verify Karwa Chahte ho City Select Kar lo  or Image ke Text Niche Box mai Same To Same type kar do. or NEXT PAR Click kar do




Step - 18 

Pay And Book Appointment  

Agar aap chahte hai kisi or Din ki Appoinment ho To Aap Ismai Date Change Kar Sacte hai Agar Aap Usi Din ki Appoinment Chahte hai To Pay And Book Appoinment Par Click kar de.



Filaly Ab Apko iski payment online karni Karni Agar aap SBI ke Account Or Uska Dabit Card Use karte Hai to iski Payment Rs.0.00 mai Ho jaigi agar Apke Pas kisi Other bank Ka atm card ha to apka 20 se 25 rupay tak charge lag sacte hai.

payment successful hone ke Baad apke Email Par ek Print Ayega aap usko Print out karwa le Or jab Apke Appoinment date ho us din Aap Wo sare document Passport Kender leke jaye Or Waha se verify Karwaye Or ho Sacta hai Apka Police Verification Agar hota Hai to apko police verification karwana hoga apko police sttion jana hoga or Apne Sath Do Dosto ko leke jaye kyuki police unki Gawahi legi Or Ho Sacta hai police Apse Thode bahut paise Bhi le sacti Aise mai Aap Sachet rahe Or unko Reswat na de . Or police Verification Hone ke baad apka passport 30 se40 din ke ander print out hoke Apke Pas Chala Ayega ga Or Apke pas Apna New Passport hoga.

Meta Tag :-
Passport kaise apply kare, How to apply passport in india, Passport apply fess, passport jankari,passport kaise milta hai, passort online kaise banta hai, passport banwaye,passport banane ke puri jankari hindi mai,What is passport,passport kya hai, tatkal passport ki kitni fee hai , tatkal passport kaise banwaye,SonuRajut.

No comments:

Post a Comment

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi