Friday, March 29, 2019

Online RD Account Kaise Banaye SBI Mai


Dosto Aaj Ka Topic Hogs Hamara RD Ka Account Kaise Open Kare SBI Ya SB ki Kisi Bhi sakha mai Kyuki online RD account open karne ka State Bank Ki Sabhi Sakha ka Ek Hi Pattern hai Or Same Website page hota hai


RD Kya Hai , RD Kyu Jaruri Hai

Sabse Pahle Mai Apko Bata Du Ki RD ki Full Form Hai Recurring Deposit
Mai kehta hu dosto RD Hum Sabko Karwani Chahiye Kyuki Aaj ke Time Mai money Saving bahut he Important hai Aap Rd ka account Rs100 month ke Hisaab se 1 year ki karwa sacte ho. Rd Account kam se kam One year ki Hoti hai Jo ki rs100 Se start hoti hai. RD account 1 year se 10 year ki Avdhi ke madhyam se hota hai or jab Aap RD account open Karate ho To Aap ke pas Options hota ki Aap isko one year ki leni hai ya Three year ki wo Aap par Depand karta Aap 10 year se Kam kitni bhi year ki Rd le sacte ho .

or RD Saving Account se Dugne Bayaj yani interest Apko RD par deti hai. Rd Account Aap kisi bhi bank mai jaker karwa sacte ho . Or Ab Filhal Rd Ka Interest hai WO 7.50℅ se 8.50℅ persant ke bich ka hai  Net Banking ko kaise Activate kare 

 Apka Account mai Net Banking Ki Suvidha Hai to Aap isko online bhi Activate karwa Sacte hai Agar Aap Chahte Hai net Banking ki Suvidha ka labh udhana to Apko apni near Branch mai sampark karna hoga or jiska Account SBI ya SB ki kisi bhi sakha mai hai WO From No. 61 Ko Apply kare Apne Bank mai. Or Ye Suvidha bilkul Free Hai iska koi monthly ya yearly charge nahi hai.

Online Paise Kaise Transfer Karte Hai SBI Bank Se

To Dosto Ab Apko Pata Chal Gaya Hoga RD ke bare mai or ye kyu jaruri hai. To Chaliye Jante Hai RD Account ko Kaise Create kare online SBI Account Or Mai Apko Ek Baar phir Se Bata Raha hu ki State Bank ki Jitni Bhi Sakha hai Sabki net banking ka Patren ek hi hai ye mai apko isliye bata raha hu ki mera Account Sbp mai hai jiska net banking ka Same pattern SBI jaisa hai.



To Chaliye Jante Hai Rd ka New Account kaise open kare online net banking ke jariye

Step.1 
Sabse pahle Apna account Open kijiye Account open karne ke liye sabse pahle apna user name daliye
Or phir apka password enter kijiye



Step.2
Jaise he aap apne main account mai parvesh karoge to apko main page pai E-Fixed Deposit ka option milega apko us par click karna hai
or jaise he ap Agle page par Aaoge To apko ab E-RD ka option show hoga apko us par click karna hoga

Step.3
Ab Aap RD ke form page par Aa jaoge.
ab apko apna amount dalna hai jaise ki maan lijiye ki aap har mahine Rs1000 Rupay dene mai smarth hai to apko 100 rupay dalne hai

Ab apko saal year select karna hai jitne saal ki ap RD chahte hai

Ab apko Pay Back Principal And Interest par click karna hai

or Ek Agrement ke I Accept The par click karna hai

or Akhire Mai Apko Submit par click karna hai


Step.4
Ab apke samne samne rd ki jankari ayegi usmai apko bataya jayega ki apke ek saal mai itne rupay jama hua or apko itna interest lagne ke baad apko itne paise milege
or phir apko nominee chahiye ya nahi ager chahiye to yes par click kare
or akhire mai Confirm Par click kijiye.


Step.5
Ab apko SET IS par click karna hai kyuki ye apse puchay ga ki apki jo RD ka schedual hai to jis tarik ko aap rd ka account bana rahe ho usi din apke account se automatic 1000 rupay katey jay ge 12 mahine ke liye to apko bey phiker hokey SET IS par click karna hai.


Step.6 
ab apke samne rd ka page ayega usmai apko rd se related sari jankari de rakhi hogi usmai bataya jayega ke apko kitni kist or deni hai apka account no kya hai or apka reference no bhi hoga.or phir se apko ek baar Confirm par click karna hoga apki RD successful created ho jayegi.

  
Ab apko pata chal gaya hoga ki RD kaise banai jati hai.Mujhay Umeed hai apko meri ye post pasand aai hogi  or apko samajh aa gaya hoga ki kis parkar hum rd ka account open kar sacte hai. Agar apke men mai koi saval javab hai to app mujay comment ke jariye mujhse baat bhi kar sacte hai mujhay apki help karne mai khusi hogi. Thank You Read Post

Taged Line
Rd Kaise banai,rd kya hai,rd ki jankari, what is a rd,how to create rd account, sbi mai rd kaise banaye online, net banking ki jankari,sbp login,sbi login, sbp net banking, learn rd in sbi,sbp ki jankari,sbi ki jankari,online Rd Account banaye, online sbi, online sbp,sonu rajput

4 comments:

  1. state bank freedom se rd kr sakte hai ?

    ReplyDelete
  2. Sir plz offline rd account open krne ka process bta dijiy....

    ReplyDelete
  3. Vinita Ji , Agar Apko Offline RD Account Chahiye To Apko Apni Branch Jana Hoga

    ReplyDelete
  4. Rd 1 saal complete hone par peise interest ke saath automatic account me aa jaayeinge ya bank ke chkr kaatne padenge. ?

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi