Thursday, March 28, 2019

Brain Ko Nuksaan Pahucha Sacti Hai Ye 7 Galtiya


Brain Ki Jankari = kya Ap apne brain ki dekhbhal usi trah karte hai jaise Apni body or looks ki karte ho. apke sarir ko function karne ke liye brain ki dekhbhal bhi utni he jaruri hai jitni apne looks or sarir ki kyuki sabka connection brain se hota hai. Ager apke sarir mai koi chot lagti hai to sabse pahle iski suchna dimak ko milti hai.

To mai apko batau ga ki WO konsi 7 mistak hai Jo hum rojmarja ki jindgi mai kartey hai

Ye post http://m.bhaskar.com se liya gaya ha



No.1 Nind Na Aana

Jab Ap sotey ho to apke brain ko aaram milta hai or apne Ap ko refresh or reprogram karne ka samay bhi milta hai.ager ap paryapt nind nahi letey ho to apke dimak ko aram nahi milta hai. Or samay ke sath sath brain ki ability kam hoti hai


No.2 Pura Khana na khana


Agar Ap ye socte hai ki breakfast na karne se Ap heathy bane rahege to ye apki bahut badi bhul hai. Breakfast na karne se apke brain mai glucose ki supply kam ho jati hai . issay apko thakan mahsus ho sacti hai. Or apki parfomans kharab ho sacti hai


No.3 Over Eating karna

Ager Aap jayada khana khatey hai or khastor par janks foods to apka dimak sochta hai ki apka pet bhar chuka hai or phir wo bhuk lagne ka signal bhi nahi deta. Is trah se Ap thakan kamjori bhad jati hai. Or brain in propar function karne ki ability par asar pad sacta hai.


No.4 Kam Pani ka Sevan Karna or pina

Ye ek Jana mana fect hai ki pani kam pine se di high dration ki sikayat ho jati hai. Lakin issay apke brain ki working capability par asar padta hai or is say apke dimak ko response karne par asar padta hai. Agar Ap din bhar mai 8 Gilas se kam pani pite ho to dihigdration we apke dimak ke tisuz sukad sacte hai or brain dijiz ho sacti hai


 No.5 Multitasking 


Agar Ap mante hai ki ek samay mai kai kaam karne se apki brain power badti hai to ho sacta hai ki Ap galat ho. Stanford university ki research mai khulasha hua tha ki Jo log Multitasking karte hai lambaey samay mai unki afisiancy kam ho jati hai.


No.6 Bidi pine se

Jab Ap smoking karte hai to tab apki body mai kai harmful chemical release hote hai.
Ye chemical khun ko gadha kar detay hai jisay brain mai khun ki supply kam ho jati hai
Issay kai traha ki mental problems ho sacte hai.


No.7 Tanav

Tanav apke sarir ke liye kafi nuksan dayak hai general newro science mai public ek study ke mutabik jab Ap tanav mai hote hai to body mai cartisol namak hormones release hota hai Jo apke dimak ko nuksan pahuchata hai.

No comments:

Post a Comment

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi