Saturday, March 30, 2019

Voter ID Card Online Kaise Banaye 2019


"Voter ID Card Online Kaise Banaye 2019" Hello Dosto Mera Naam Sonu Rajput Hai, Dost Aj Mai Ap ko Is Post Mai Batau Ga Ki Kis Parkar Hum Voter Id Ko Online Apply Kar Sacte Hai Without Any Fees Ke Wo Bhi Online Free Mai



Sabse Pahle Mai Apko Bta Du Ki,
Hamare Pas Scan Ki Hui pasport size ek photo honi chahiye OR Address Proof, Identity Proof any, Tabhi Apki Voter Id Banegi



Sabse Pahle Humay Is Website Par Visite Hona Padega http://www.nvsp.in/
Phir apko Ye page Open Hoga Jo Ki Kuch Is Trah  OPen Hoga.


Ab Apko Yahan Se Apne State Or City Ko Select Karna Hai Jahan Par Ap Rahte Ho.

 Hamey Apply Online For Registration Of  New Voter Par Click Karna Hai
Ab  Apke Samne Form6 Open Hoga.








Ab Apke Samnei Applicant`s Detals Ayegi

Ismai Apko Kuch Apni Gernal Information Dalni Hai jaise Ki Name,Date of Birth,Gender,State,District. Ye Information Apko Apne Bare Mai Batani Hai 






Name Mai Hamko Apne Father Name Or Mother Name Dalna Hai
Ab Apke Samne Ye Part No. Aor Serial No Or Card number Ayege






Wo Pata Karne ke liye Hame phir Se Wahi Link Open Karna Hoga Jo Hamne Pahle Kiya Tha http://www.nvsp.in/
ab apko ismai Search Your i  electoral roll Par Click Karna Hai


Phir Apko Search By Epic No Ko Select Karna Hai

Ab Apko Apne Father Ka  EPIC No Dalna Hai
Or Apko Apni State Ko Select Karna Hai.
Or Text Image Ka Text Niche Box Mai Enter Karna Hai

 Ab Apko Yahan Se Part No
 Or Serial No Dono Mile Jaye ge
Or Card No Mai Apke Father Ka Card No Dalna Hai Jisse Apne Part No Or Serial No Ko Search Kiya Tha.


Ab Apko Ye Docoment Chahiye Upload Karne Ke Liye
No.1= Color Fhoto
No.2= Koi Bhi Identy Proof
No.3= Address Proof

In document Ko Submit Or Upload Karne Hai 



Ab Apke Samne Hindi Me Ek Form  Ayega
Ab Apko Ismai Wo Date Dalni Hai ,Ap kitne Saal Se Yahan Par rah Rahe Ho To Ap In Drop Down Menu Mai Se Year Month Or Day Ko Select Kar De

Or Ab apko Wo Date Dalni Hai Jo ApNe Ye Form Bhara To Ap isko Bhi Drop Down Menu Mai Se select Kar Lijiye Or last mai Isko Submit yani ki send kar dijiye




Form Submit Hone Ke Baad Ye Form Adhikari ke pas Jayega Or Phir Wo Apke Pas Ek Booth Level ke Adhikari ko Bheje Ge Jo Ki Apne Jo Jo Bhi Parmand Patr Lagay Hai Wo Unko Sath leker Ayega Or Apse Un Form Pai Sign Karwa ke Le Jayega.


Hallo Dosto Kaise Lagi Meri Ye Post Apko , Ager Apko Is Post Se Related Kuch Puchna Hai To Plz Mujay Comment Kijiye Mai Apki Help Karunga Wo Bhi Hindi Mai

12 comments:

  1. Ye Information bahut Hi acchi hai , Nice

    ReplyDelete
  2. Vote kitane din me ban jayega

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ajay ji ismai Apko 30 se 40 Din Waite karna hoga

      Delete
  3. Sonubhai mere scan karne ki chiz nhi hei laptop hei kya mein mobile se photo lekar upload karunga to chalega..?

    ReplyDelete
  4. Mera voter Id me mera naam galt likha hua hai.ise sudhara ja sakta hai kya

    ReplyDelete
  5. Sir form number 6 ko bharne ke baad ek status id mila hai
    Ye voter ID kab tak ready ho jayega

    ReplyDelete
  6. ye 100 kb se uper ka document upload nhi kr rha form no 6 me kya kru ab

    ReplyDelete
  7. sir mene all daites fill kar diya tha but 3 mnth se above ho gaye av ta ahi aaya h

    ReplyDelete
  8. Helpful information thank you sir!

    ReplyDelete

Hame Apki Help Karne Me Khusi Hogi